Mukhote wali Zindagi


Hey Hi there. How's you?

I have been writing poetry since quite long time.

This is my first Vlog / Video Blog on my poetry.

Hopefully you shall like it.

Its a Hindi - English Poem, about the mask we all wear on Social Media and Life. I am sure all of you shall be able to relate to this some or the other way.


Mukhote wali zindagi hogayi hai

Isliye ab hume filters ki jarurat ho gayi hai
Colorful Zindagi bhi ab mono ya sepia si hogayi hai
Mukhote wali zindagi hogayi hai

Doston se ab jyada duri hogayi hai
Kyu ki meme tagging mein hi baatein hone lagi hai
Mukhote wali zindagi hogayi hai

Read receipts off rakhna jhoot bolne ka naya jariya ban gaya hai
Last seen off rakhna bhi chupa chupi ka khel ban gaya hai
Mukhote wali zindagi hogayi hai

Trust ka naya naam screenshot hogaya hai
Jane anjane hum sab blame game ke khiladi hogaye hain
Mukhote wali zindagi hogayi hai

Facebook ke status update mein dikhava jaruri hogaya hai
Rishta screwedup hai, par ‘feeling loved’ likhna  majburi hogaya hai
Mukhote wali zindagi hogayi hai

Feeling blue kehna lame sa hogaya hai
Shayad isiliye hum Blue Whale ke Mohtaj Hogaye hai
Mukhote wali zindagi hogayi hai


Comments

Popular posts from this blog

Mera Astitva

Gattu/ Sattu is the new Rahul/ Raj

Kyun hum